Shri Nirmala chalisa





NIRMAL NISCHAL MARM HO
SAHAJ SARAL HO KARM
ANTAR MANN SABKE RAHE
VISHWA NIRMALA DHARM
CHARAN SHARAN MEIN AAYKAR
HOYA SAKAL KALYAN
ADISHAKTI MA NIRMALA
DI JOH YAH VARDAN
musique

ADISHAKTI SAHASTRAR SWAMINI
VISHWA NIRMALA DHARM DAYINI
CHAITANYAT KI CHAKRA SHRINKHALA
KOTI KOTI JAI MATA NIRMALA

SAHAJ ROOP SE JAGAT UBHARA
BHAVSAGAR SE PAAR UTARA
JAG JANANI JAG PALAN HAARI
PRALAY KAAL MEIN NASHAN HAARI

MAHALAKSHMI TU MAHASARASWATI
MAHAKAALI MA ADISHAKTI
TU HI ANTIM AAS HUMARI
AAN PADE JAB VIPDA HAARI

PAITHI SAB MADH MOH SOK MEIN
BHAY SABHA TAB TEEN LOK MEIN
SUR JAN MUNI JAN SAT JAN SAARE
SHISH NAVAKAR HAATH PASARE


KARKE POOJAN BHAV BHAKTI SE
TEENI BINATI ADISHAKTI SE
KALJUG MEIN SATJUG KO LAVO
KALKI BAN DHARTI PUR JAAGO

musique
KAUNE LIYA PRASAD KE
GHAR UTSAV AVIRAM
JAG JANANI JAG MEIN SWAYAM
RAKHA NIRMALA NAAM
musique

MAYA SE MANN CHITA NIKALO
SRISHTI KO MAA TUMHI SAMBHALO
BHARAT MADHYA NAGAR CHINDHWADA
DHARTI PUR AVTAR KE KAARA

PAANCH MAYI KO SHUBH DIN AAYO
NARGOL MEIN DHYAAN LAGAYO
BRAHMARANDRA BHEDAN TAB KEENA
NIRMAL GYAN JAGAT KO DEENA

INGLA PINGLA GUTH SULJHAYI
KUNDALINI MAA UPAR AAYI
MANAV MEIN CHAITANYA JAGAYO
HAATHON MEIN KAMPAN KARVAYO

MOOLADHAR GANESH BITHAYE
HANUMAT BHAIRAV DAAYE BAAYE
GOODH GYAN KO SAHAJ BANAYO
JOH MOHE MUJHSE MILVAYO

CHUN CHUN SAARE MANAV TAARE
GIN GIN SAARE DAANAV MAARE
SWET KAMAL MEIN MAAT BIRAJE
JANE SAHASTRA PANKHUDI SAAJE


musique
VISHWA NIRMALA DHARM HAI
SAB DHARMO KA SAAR
SHREE MATAJI HAI SWAYAM
ADISHAKTI SAAKAR
musique

UNNAT BAAL BINDIYA CHAMKE
KOMAL SHAAMAL KUNTAL DAMKE
ALKO PALKO JYOTI CHALKE
MUKH MANDAL SE ABHA CHALKE

GAURVAN PATI SOBHIT KAAYA
CHARANAN MEIN HAI SWARG SAMAYA
DARAS MATRA SE BADHA BHAGE
NAAM LET SE ATMA JAAGE

SAHAJ MAGAN MANN DHYAN LAGAVE
NIT PRATI CHIT IT UTNA JAAVE
CHADHA KUNDALINI BANDHAN PAAVE
TAALU KE UPAR CHIT LAAGE

KAREIN SHAMA NIKALE HUM SHAM SE
SAKSHATKAR HOYA SWAYAM SE
KASHT MEETE CHAT KATE KALESHA
NIRVICHAR SO RAHE HAMESHA

SUKH SANTOSH BADHAV KHYATI
PAVE NIRANAND BHALI BHAKTI
LAGI LAGAN DHYAN DHARAN MEIN
KAREIN SAMARPAN CHARAN SHARAN MEIN

musique
JAN JAN KI HO JAGRIT
PREM BAHE PURJOR
BEETI KAALI RAAT AAB
HUI SAHAJ KI BHOR
musique

PARAM SHIVAM KI SHAKTI NYAARI
AADI GURUO KI MAHATARI
DHARM KARM KO SAHAJ SAHECHA
KRISHNA ALI YESHU KO BHEJA

FATIMA MARIAM VISHNUMAYA
RADHA SITA TERI CHAYA
GEETA GYANESHWARI KURAN
BIBLE MEIN TERA GUN GAAN

CANAJOHIRIE AUR CABELLA
GANAPATIPULE SAHAJ KA MELA
DHARTI PUR TEERATH AATI PAVAN
PUNYA JAHA KA AONE BHAVAN

SUR GAN MUNI JAN JAHAN BIRAJE
PARAM PUJYA PATI PANKAJ SAAJE
KASHI JERU SALAM KARBALA
TERI JAY HO MAAT NIRMALA

NIRMAL MANN HI CHITA LAGAVAT
PARAM SHIVAM KRIPA SO PAAVAT
NIRMAL CHALISA JOH GAAVE
NIRMAL DHAAM SAHAJ SO PAAVE

musique
NIRMAL DHAAMHI O AAYKE
JAPE NIRMALA NAAM
KASHT MITE SANKAT KATE
HAATE KALESH TAMAM
DHYAAN YOG MEIN BAITHKAR
RAKHE CHIT SAHASTRAR
JAI SHREE MATAJI KAHEIN
SAKAL SAHAJ PARIVAAR
JAI SHREE MATAJI KAHEIN
SAKAL SAHAJ PARIVAAR
SAKAL SAHAJ PARIVAAR
SAKAL SAHAJ PARIVAAR !


Le CD du Shri Nirmala chalisa a été présenté à Shri Mataji Diwali au puja de 2004 à Los Angleles. La musique est composée par Shri Rajiv Ratna Parashar, de la collectivité de Californie aux États-Unis. Il est interprété par le groupe Sahaj Sangeet, dont Varsha Jhalani ets l'interprète principale.
Les paroles de ce Nirmala chalisa ont été écrites par L Patel à la manière du Hanuman chalisa.
Publié par dictionnaire sahaja yoga

Commentaires

Posts les plus consultés de ce blog

Le Kavach de la Déesse ou Devi Kavach

Comment faire le bandhan de l'amour?

Hanuman Chalisa par Arun Apte